|
|
Jab raat key daman main siskiyan tarapti hain
Tub Hinaei hathoon main choriyan bikharti hain
shajr ghulaabon key chaman main tarsaan hain
Hathon ka sunapan dekh kar kaliyan tarasti hain
Daman main uskey hain wafa key moti bikhrey sey
qismat ki rekhaon main sadiyan sisakti hain
sham key sayon main khud ka saya bhi tanha sa lagta hai
logon key meelay main akhiyan barasti hain
benam sey khat chand sokhey gulab aur tasweer-e-jaanan
dil ki tapish main adhori muhabbat ki chand nishaniyan jalti hain
zakhm-e-ulfat key sub nishan tamghey hain
Rah-e-wafa main mil jaen tu ahl-e-dard ki chatiyan damakti hain
sir sey paa tak wo noor ka hala hai qais
choona chahoon bhi to hathelian jalti hain
