Tuesday, 1 November 2011

Sabr key daman tar tar hoey

Sabr key daman tar tar hoey
jo zulm tery ahl-e-watan bar bar hoey

zameen kanp uthi asmaan tarap gaya
watan ki galion main baha jo laho tu insan zar zar rouay

Rab-e-Kaaba ko sajda karna jurm thehra yahan
shehar-e-butparastoon may but-shikan aye ahl-e-watan khar khar souye

youn loota hai asbab rafiqoon nay yahan
ke is harkat-e-hewaniyat pe naadim dushman bhi zar zar roye

wo din bhi aey ga jab khoon-e-maqtool pukarey ga qais
Tu Laakh apny hath lahoo sey rangeen bar bar dhoey

Urdu Ghazal's

 

© 2011 Shayari, Urdu Shayari, Urdu SMS, Urdu Poetry - Designed by Mukund | ToS | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us | Write For Us