Wednesday 2 January 2013

Waqat Miley to Kabhi...

Waqt Miley To Kabhi Rakhna Qadam Mery Dil key Angan Mein
Heeran Reh Jao Gey Mery Dil Mein Apna Maqam Dekh Ker


December ki Udaas Rutt Lout Ai Hai

December ki Udaas Rut Lout Ai Hai
Nami Ankhon mein Liey
Aur keh Rahi hai Mujh Sey
Key Tery Wasty AB ki Baar Bhi
Mery Daman Mein
Sirf Tanhai Hai....


Tum Zara Hath Mera Thaam Ker Dekho To Sehi
Loog Jal Jaen Gy Mehfil Mein Charaghoun ki Tarah


Khafa Desgined Poetry

Mujh Sey Bichra Tha Wo Pehly Bhi
Magar Ab key Yeh Zakhm Naya Ho Jesy
You Bohat Hans Key Mila Tha Lekin
Dil hi Dil Mein Khafa Ho Jaisey...


Hamsafar Tum Jo Hoey Mery

Jab Tum Sath Hoty Ho,
Ye Duniya Sunder Lagti Hai,
Armanou sey Sajti Hai,
Chand Aur Tarey Sab Apney Lagty Hain,
Kehakshaan Rahoun pey Uterti Hai,
Nazroon Key Saey Mein din Dhalty Hain,
Jhuki Palkoun Mein Khawab Jagty Hain,
Dil Ka Her Koona Abbad Lagta Hai,
Shaad Lagta Hai,
Bamuraad Lagta Hai,
Har Cheez Mumkin Ho Skti hai,
kion key Jab Tum Sath Hoty Ho,
Yeh Dil Bhi Sath Hota Hai...
 


Sunday 30 December 2012

Kangan By Asad-Ullah Shah Download Poetry Book



Book Name : Kangan
Writer : Asad-Ullah Shah
Pages : 202
Size : 3 MB

Pehla Mousam By Raheel Akash Download Poetry Book


Book Name : Pehla Mousam
Writer : Raheel Aakash
Pages : 56
Size : 619 KB

Nayafat By Ahmad Faraz Poetry Book Download


Book Name : Nayafat
Writer : Ahmad Faraz
Pages : 57
Size : 902 KB

Aks Khushboo By Parveen Shakir Download Poetry Book

Book Name : Aks Khushboo
Writer : Parveen Shakir
Size : 5.44 Mb

Pehli Barish By Nasir Kazmi Download Poetry Book


Book Name : Pehli Barish
Writer   : Nasir Kazmi
Size  : 870 Kb


Tuesday 25 December 2012

Kitna Mushkil Hai

Kitna Mushkil Hai Muhabbat ki Kahani Likhna
Jaisey Pani Sey Pani Per Pani Likhna


Tuesday 11 December 2012

Do ghari pyar ki karein baatein

Do ghari pyar ki karein baatein
Dil jalaney ko umer sari hai

Dekhta hoon sab shaklein sun raha hon

Dekhta hoon sab shaklein sun raha hon sab batain
sab hisaab in ka mein aik din chuka doon ga

Usey pana tha usey khona tha

Usey pana tha usey khona tha
Yeh bhi hota tha wo bhi hona tha

Kitni dair or usko rona tha
Woh jo hona tha wo to hona tha

Shayed is waastey Milli ankhein
Bojh kuch ansuoon ka dhona tha

Kya Ghazzab ker liya ankhoon ney
Mujhe to tujh sey chup ke rona tha

Hum ney moti samajh liey they adeem
Warna Daaman kisey bhigona tha
 

© 2011 Shayari, Urdu Shayari, Urdu SMS, Urdu Poetry - Designed by Mukund | ToS | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us | Write For Us