|
|
Hum ny youn raat key pehlu main ratoon ko sajaey Rakha hai
Goya key Wosaat-e-asmaan main sitaroon ko sajaey rakha hai
Wo hum sy pochtain hain hamari muhabbat ka peymana
hum ne tu lamhon main sadion ko sajaey rakha hai
zindagi sy kia gila kia shikayat karty jannan
BUs lab si ker hum ny zakhmoon ko chupaey rakha hai
Faqt tujh sey hi nahi apny har dard sey muhabbat ki hai
Yeh taqaza-e-ishq hai key dard key sub hawalon ko sajaey rakha hai
Log keisy jee lety hain bewafa ho ker qais
hum ne tu dil ki surkh hoti zameen ko wafaon se sajaye rakha hai
