|
|
janey kion wo bheer main tanha lagta hai
jaisey dasht main koi ghulab tanha khilta hai
Uski ghazloon ka unwaan hameesha firaaq hota hai
phir bhi wo harf-e wasal bar ha likhta hai
Taqseem jab bhi hoti hai zaat meri tukroon main
Wo bohat inhimak sy bikharny ki sada sunta hai
Jab bhi kisi dewany per waar krty hain ahl-e- shehar
Sub teer wo apny seeny pe tanha sehta hai
Ab bhi wo sahil pe khara lehron ko hasrat sy taka krta hai
Jaane kion samandar ko wo pyasa likhta hai
