|
|
Kuch dair ko thehro chand nikalny ko hai
shab-e-haseen ka yeh haseen pal guzarney ko hai
Tareey bhi raat-jagga manatey hain anjuman main meri
kuch deer main yeh ronaq-e-mehfil bhi harjai honey ko hai
Raat ka anchal orhey koi khanakti hansi phir gonjti hai
Lagta hai jism-o-jaan ka rabt tootny ko hai
Main nikal Aya hon Bohat door youn hi chalty chalty
Door Nazar main kahin charagh-e-sehar bhujhny ko hai
Sabab mujhey maloom nahi dharkan-e-dil ky beqaboo hony ka
Barsoon baad phir sey wohi misl-e-baad-e-saba khawaboon sey guzarney ko hai
