|
|
Sunna hai tery shehar main nazool-e-wafa ka mousam
Muhabbat ka sawan aur rang-o-noor ka alam hota hai
sunna hai wahan dilon ka milan hota hai
rohoon ka visal aur hijar ka inkar hota hai
wahan zulf bikhary tu raat ka aalam
jo simtey to saveera hota hai
sunna hai ashk jab koi bahaey tu
wahan sawan ka mousam hota hai
tara jab bhi totty kaheen aasman main
nazuk hathoon main kashkool-e-dua hota hai
sunna hai wahan kalaam karti hai muhabbatein
nafratoon ka qatl-e-aam hota hai
sunna hai wo bhi makeen hai teri basti ka
jo sadiyoun sey rooh-e-jaan hamari hota hai
usko salam-e-Muhabbat kehna
jiski aankh main ashk mery naam ka hota hai
wo bhi shaed mehsoos karta ho
dard jo firaq main yahan hota hai
uski muskan ka bhi kuch aalam bayan ho
kia ab bhi ussey dekh ker chandni ka guman hota hai
sunna hai ab bhi wo nazar jhuka ker milta hai
kahin ankh main uski pyaar ka rang hota hai
chalo us basti ki janib chaltey hain
jahan rang-e-qoos-e-qazah aur raq ishq main hota hai
