|
|
Sub kitabein jhooti niklein dastan-e-wafa ki
sub Ghazlein be-maani niklein unwaan-e-wafa ki
kaisa iztiraab machal raha hai kisi khana-e-dil main
ye kis ka pyaam layi hain hawaein ehad-e-wafa ki
kahan sey milta hai sila barson ki uljhanoon ka
shayed key kuch karishma kar jaen zulfein be-wafa ki
chalo zameen ki wusatoon main talash karty hain
koi to basti hogi jahan mil jaen soortein ahl-e-wafa ki
Hum to rooz dil key dasht main gulaab chuna kartey hain
Hum ny dekh rakhi hain sub kiramatein dard-e-wafa ki
