Monday, 26 November 2012

Suno iltija hai itni

Suno iltija hai itni
Jab meri Sansein
Mera jism choor dain
Jab ankhein weeran hojaen
Jab mein thak jaon or gir jaon
Jab mein tumhein pukaroon
or awaaz na day paoon jab mujhey jana ho
lotna ho apney khuda key paas
Aisy Lamhy tum ajana ik
Lamhy keyliey hi per dua keliey
Hath uthana meri sard
paishani pey apna hath rakhna
taasuf say sir hilana phir
mery janazy ko kandha dena
or apni duniya sey door choor ana
bus sirf in chand lamhon ka sakoon meri
zindagi pey tumhara ahsan hoga
key tumhary hathon ka.....
Lamss.. Qabr mein bhi mujh sey
Juda Na hoga....

Urdu Nazam

 

© 2011 Shayari, Urdu Shayari, Urdu SMS, Urdu Poetry - Designed by Mukund | ToS | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us | Write For Us