|
|
Zubaan chup thi magar lafz boltey rahey
yaad key dareechon sey kaei unwaan boltey rahey
umr-e-rawan to thehri ghaflatoon ki kitab
zindagi ki shaam main amaalon key meezan boltey rahey
bikhar gaey nasheyman key tinkey hawaon main apney
khadey tanha ussey sameetny ky saman sochty rahey
Silsillay wafaon key ajeeb tarz key they Qais
Jinhey mqaood-e-hiyat jana wohi fana key unwaan nikaltey rehay
