|
|
Raat ajab aik sapna dekha
Ghumzada koi apna dekha
tanha akeela betha tha logon ki bheer main
Lab khamoosh magar ansoo bahana dekha
Ankhon main udaasi liey bus magan tha
per dharkan-e-dil ka karhana dekha
jo khud roonaq-e-chaman raha baharoon main
aaj titlion ka bhi ussey satana dekha
Toot ker bikhar jaen aisi choot khai thi usney
dard key bhi hajoom main uska muskurana dekha
Lout aya wo harjai jab ho chuki shaam zindagi ki
Khali hath tehi daman uska phelana dekha
zakhmoon sey choor tha dekh ker haal mehboob ka
Pachtawey ki aag main jalta na aisa dewana dekha
Dil paseej jata shaed us mehboob-e-harjai ka
Per guzrey barsoon ka hisaab mangna dekha
Yeh sapna tha haqiqat thi ya dard main doba waqat tha
Subah ki thandi saba main khud key neer bahana dekha
