Wednesday, 2 November 2011

Darmiyan main kaei sehra haiyal ho gaye

Darmiyan main kaei sehra haiyal ho gaye
mizaaj banjara tha so hum bhi maiyal hogaey

Sar-e-maqtal dekh kr wo heeran hain bohat hamein
khud apni wafaon ki saza key saiyal hogaey

pehli barish main mangi thi dua kehkashaon ki
nangey paon chaltey ab sangreezon pe ghaiyal hogaey

Detay kia tumhein lafzoon ki soghaat
Sakhi itney they key khud saiyal hogaey

sazaoon main kammi to shaed hojati jaanan
Dukh main lazzat itni thi key khud hi haiyal hogaey

Urdu Ghazal's

 

© 2011 Shayari, Urdu Shayari, Urdu SMS, Urdu Poetry - Designed by Mukund | ToS | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us | Write For Us