Friday, 4 November 2011

Chehray hamarey udaas rehtey hain

Chehray hamarey udaas rehtey hain
Khawab hamarey udaas rehtey hain

Libas-e-Lafz Atta kiey they jinko
Ashaar hamarey udaas rehtey hain

Jahan-e-nou ki justaju kia karein
Insiraam sarey udaas rehtey hain

Pal bhar jo hans letay hain Ahl-e-Dard
Barsoon Sarey Udaas rehtey hain

Shajar Be-Libaas Kar diye tum ney
Saey Becharey Udaas rehtey hain

Urdu Ghazal's

 

© 2011 Shayari, Urdu Shayari, Urdu SMS, Urdu Poetry - Designed by Mukund | ToS | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us | Write For Us