|
|
Yaad ata hai dard ka aik aik lamha
Koi muskuraey to ashk ankh sey uter atta hai
Waqat-e-judai uski ankh bhi purnam thi
Saat pardoon main jazbat ussey chupana atta hai
Khud pathar ki moorat bana betha rha sada
Moom ki maanind mujhey pighlana ussey atta hai
Pehley tameer main rha wo meri lamha lamha
Phir muskura ker mitana bhi ussey atta hai
Nigahoon sey kaei baar sawal kerta per
Khud sey jawab sooch leena khoob ussey atta hai
Baat karna to sambhal ker karna
Dil torney ka her tareeq usse atta hai
