Friday, 4 November 2011

Kal raat cheer gai zikar jo wafaon ka

Kal raat cheer gai zikar jo wafaon ka
Wo yaad aya jo peekar tha wafaon ka

usay zoum tha mujhey mitaney ka
Kuch shoq-e-safar tha hamein sehraoon ka

Hum ney jalna pasand kiya dhoop main
Wo sheedaei tha ghanni chaoon ka

Hum giraftaar rahey uskey sehar main
Wo panchi raha Azaad fizaoon ka

Ussay etbaar tha zamaney bhar pey
Main raha mujrim uski nigahon ka

Aik baar pocha to hota sabab kantoon ka
Main to muntazir hi rha uski sadaon ka

Bus ajnabi Ker gaya aik pal mein
Jo maan tha meri annaoon ka

Urdu Ghazal's

 

© 2011 Shayari, Urdu Shayari, Urdu SMS, Urdu Poetry - Designed by Mukund | ToS | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us | Write For Us