|
|
Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Dekhty Hain
Khayaban Khayaban iram dekhtey hain
Dil aashuftagan khal e kunj dehen kay
Sawaida main sair e adam dekhtey hain
Teray sar o qamat say ek qad e aadam
qayamat kay fitnay ko kam dekhty hain
Tamasha! keh aey mehw e aaynadari
tujhay kis tamana say ham dekhtey hain
Bana key faqeeron ka bhees ham ghalib
Tamasha e ahl e karam dekhtey hain
