Sunday, 27 November 2011

Aaj Rothey hoey sajan ko bohat yaad kia

Aaj Rothey hoey sajan ko bohat yaad kia
Apnay ujry hoey gulshan ko bohat yaad kia

Jab Kabhi gardish e taqdeer ney ghera hay hamein
gesoo e yaar ki uljhan ko bohat yaad kia

shama ki joot par jalty howy parwano nay
ek tray shola daman ko bohat yaad kia

jis kay mathay par nayi subah ka soraj hoga
Ham ney us waqat ki dulhan ko bohat yaad kia

Ajj tottey hoey sapno ki bohat yaad kia
Ajj beety hoey sawan ko bohat yaad kia

Haam sar e toor bhi mayoos tajalli hi rahey
Us dar e yaar ki chilman ko Bohat Yaad kia

Mutmein ho hi gaey daam e qafas mein sahgar
ham aseeron ney nasheman ko bohat yaad kia

Urdu Ghazal's

 

© 2011 Shayari, Urdu Shayari, Urdu SMS, Urdu Poetry - Designed by Mukund | ToS | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us | Write For Us