Tuesday, 11 December 2012

Woh Hain pass aur yaad aney lagey hain

Woh Hain pass aur yaad aney lagey hain
Muhabbat ka Hosh Ab churaney lagey hain

Suna hai Hamein wo bhulaney lagey hain
To kya ham unhein yaad aney lage hain

Hat-taey thy jo Raah sey Doston ki
Wo pathar Mere Gher mein aaney lage hain

Woh phir mujhey yaad aney lagey hain
Jinhein Bhoolny Mein zamaney Lagey hain

Yeh kehna tha unse mohabbat hai mujh ko
yeh kehney mein mujh ko zamaney lagey hain

Qayamat yaqeenan ab qareeb agayi hai
Khumaar ab to masjid mein janey lage hain

Ghazal Shayari

 

© 2011 Shayari, Urdu Shayari, Urdu SMS, Urdu Poetry - Designed by Mukund | ToS | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us | Write For Us