|
|
Sirf itna nahi dil dukhaa ker Gaya
Sara jeevan wo mera Sazza Ker Gaya
Jis ki tuu Raah Takta hai shaam-o-sehar
Sab hawaley wo tery bhala kar gaya
Phool,Khushbu,chaman,chand,Taaray,Saba
Sarey Sathi wo hum Sey Khafa Ker Gaya
Tu Kahan Aur Yeh Bewafai kahan
Yeh Zamana Tujhy Bewafa Ker Gaya
Sab Darakhtoun Pey Kuch Kuch Likha Reh Gaya
Naam Aisy Wo Mera Mitta Ker Gaya
Yaad meri Sataey gi Shab Bhar Usey
Aj din Bhar Hamein Jo Saatta Ker Gaya
Yeh Bhi Mumkin hai Arshad Na lotty Kabhi
Jo Hamein Chaar Din ka Bata Ker Gaya
Sara jeevan wo mera Sazza Ker Gaya
Jis ki tuu Raah Takta hai shaam-o-sehar
Sab hawaley wo tery bhala kar gaya
Phool,Khushbu,chaman,chand,Taaray,Saba
Sarey Sathi wo hum Sey Khafa Ker Gaya
Tu Kahan Aur Yeh Bewafai kahan
Yeh Zamana Tujhy Bewafa Ker Gaya
Sab Darakhtoun Pey Kuch Kuch Likha Reh Gaya
Naam Aisy Wo Mera Mitta Ker Gaya
Yaad meri Sataey gi Shab Bhar Usey
Aj din Bhar Hamein Jo Saatta Ker Gaya
Yeh Bhi Mumkin hai Arshad Na lotty Kabhi
Jo Hamein Chaar Din ka Bata Ker Gaya
