|
|
Zara Si Dair ko Manzar Suhaney Lagtey hain
Phir uskey Baad yehi Qaid Khaney Lagtey Hain
Main Sochta Hon tu Darbadar na ho Warna
Tujhey Bhulaney Mein koi Zamaney Lagtey Hain?
Kabhi jo Hadh sey Badhey Teri Yaad ka Habbas
Khulli Fizza Mein tujhey Gungunaney Lagtey Hain
Jo Tu Nahi hai Tujh Sey kiey Hoey Waadey
Hum Apney Apsey Aksar Nibhaney Lagty Hain
Ajeeb Khail Hai Jaltey hain Apni Aag mein Hum
Phir apni rakh bhi Khud hi uraaney lagtey hain
Yeh Aaney Waley Zamaney Mery Sahi Lekin
Guzishta Umr Key Saaey Daraaney Lagtey hain
Saleem Kausar
(Murtaza Alvi,Karachi)