Wednesday, 28 November 2012

Jo Beeti hai Woh Dohraaney Mein kuch Waqt Lagey Ga

Jo Beeti hai Woh Dohraaney Mein kuch Waqt Lagey Ga
Is Gham ko ik Yaad Bananey Mein kuch Waqt Lagey Ga

Need to Aney ko thi Per dil Puraney Qissey Ley Betha
Ab khud ko Bewaqt Sulaney Mein kuch Waqt Lagey Ga

Us ka Sath Ab tanhai ko Karta hai Aur Zyada
Per yeh Baat Usey Samjhaney Mein kuch Waqt Lagey Ga

Akhir Hamein Bhi Lout Ker ik Din Gher Ko jana Hai
Lekin itni Door sey Anney Mein kuch Waqt Lagey Ga

Shayar hain yeh Sochna Hoga Kesy Sub kuch Kehna hai
Dil ki Bat Laboon tak laaney Mein kuch Waqt Lagey Ga

Yeh Mat Samjho Duniya Walo Thak Ker Beth gaey Ham
Pichli Chotton ko Sehlaney Mein kuch Waqt Lagey Ga

Itni Jaldi kya Shabnum tum ko Wapis Janey ki
Kaam yeh duniya key nib-taaney Mein kuch Waqt Lagey Ga

Shabnam shakeel
(Munazza Jahangir,Jhang)

Ghazal Shayari

 

© 2011 Shayari, Urdu Shayari, Urdu SMS, Urdu Poetry - Designed by Mukund | ToS | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us | Write For Us