|
|
Missal-e-mouj-e-hawa Dar wo Aisa tha
Bichr key phir na mila,Humsaffer wo aisa tha
Khud apney sir lia Ilzaam -e-bewafai tak!!
Kaha na kuch bhi ussey,Moutber Aisa tha
Ussey basai howay thi bala ki Rawani
Diy-e-hijr main abad gher wo aisa tha
Kay jaisey chand musaafut sey Maand per jaey
Pas-e-ghilaf-e-ghubaar-e-saffer wo Aisa tha
Bus ek khawaab Ney neendein Nichore lein APni!
Sama Gaya meri Nus Nus Main,Dar wo Aisa tha
Laho Laho meri Ankhein,Hai Taar Taar Qaba
Key hadsa hai meri jaan wo Aisa tha
Zameen pey us key kattey bazuon Ka saya hai..!
Addu key samney wo seena sapar Aisa tha
Usi Ka kaam tha zakhmoon ki parwarish Ahmad
Usi Ky naam dua,chahrager Wo Aisa tha..!
