|
|
Hum Ney ulfat ka bharam sab sey Juda Rakha hai
Goya seeney Main tujhey Dil ki jagah Rakha hai
Dil yeh chahey key tu kabhi Badnam na ho
Daikh Zikar tera hai magar naam chupa rakha hai
Mera jis hath sey kiya tha tu ney musafha
Dhoya hi nahi honton sey laga rakha hai
Ab main samjha tery Rukhsaar pey til ka matlab
Dolt-e-husn pey darban bitha rakha hai
Juda hogaey hain to Phir kia howa Ahmad
Teri tasweer ko seeny Main chupa rakha hai...
