|
|
Saza kia detay
Kuch An-kahi batein
kuch rakh hoti wazahtein
kuch dard sehti chahtein
Kuch Abla paa musaftein
Tum hi btao jaanan
in Hasil-e-hayat ko
Saza kia detay
Yeh sub kiyunkr sehan hota
Dil-e-Pareshan main kionker chain hota
bohat soch ker qalam uthaya tha
Zakhmon ko kagazh pey sajaya tha
soch
shaed koi satar marham hojaey
shidat-e-dard kisi tor khatam hojaey
phir
kuch bhi to hasil howa nahi jaanan
phir sochtey hain ky
khud ko saza kia detay
kaisey khud ko mitta detay
koi to batlaey key
hum tujh ko
saza kia detay
saza kia detay
